Har Ek Chehre Ko Zakhmon Ka Aaina Na KahoHar ek chehre ko zakhmon ka aaina na kahoYe zindagi to hai rehmat ise saza na kahoNa jaane kaun si mazburiyon ka qaidi hoWo saath chhod geya hai to bewafa na kahoTamaam shehar ne nezon pe kyon uchala mujheYe itifaaq tha tum is ko haadsa na kahoYe aur baat ki dushman hua hai aaj magarWo mera dost tha kal tak use bura na kahoHamare aib humein ungaliyon pe ginwaoHamari peeth ke peeche humein bura na kahoMain waqiyat kee zanjeer ka nahi qayalMujhe bhi apne gunahon ka silsila na kahoYe shehar wo hai jahan rakshas bhi hai 'rahat'Har ek tarashe hue but ko devta na kaho
Baat Karni Mujhe Mushkil Kabhi Aisi To Na ThiBaat karni mujhe mushkil kabhi aisi to na thiJaisi ab hai teri mehfil kabhi aisi to na thiLe geya cheen ke kaun aaj tera sabr-o-qaraarBeqarari tujhe ai dil kabhi aisi to na thiChashm-e-qatil meri dushman thi hamesha lekinJaise ab ho gayi qatil kabhi aisi to na thiUn kee aankhon ne khudaa jaane kiya kya jadooKi tabiyat meri maail kabhi aisi to na thiAks-e-rukh-e-yaar ne kis se hai tujhe chamakayaTaab tujh mein maah-e-kaamil kabhi aisi to na thiKya sabab tu jo bigadta hai 'zafar' se har baarKhoo teri hoor-e-shamaail kabhi aisi to na thi